wo qasid mar chuka hai

parinde
raat ki shakhon pe baithe hain

paron mein
apni chonchon ko dabae

unghte jate hain
aur ye sochte hain

wo qasid
jo gaya tha

subh ka chehra
kahin se mang kar lane

abhi tak laut kar aaya nahin hai
wo qasid

subh ke hamrah
kab aaega

kab is aasman ke
zard rukhsaron pe surkhi daud jaegi

parinde
unghte jate hain

aur ye sochte hain
unhen muzhda

wo qasid
mar chuka hai

unhen muzhda
ki un ke par salamat hain

wo utren
raat ki shakhon se utren

khalaon ke samundar par chalen
aur subh ko

apne paron se
bandh kar laen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close