ai dosto batao kis haal mein ho ab tum honton pe kyon nahin hai wo shokhi-e-tabassum aawaz mein nahin hai kyon naghma-e-tarannum kya ho gai batao wo taqat-e-takallum naraaz kis liye ho khamosh kis liye ho ahbab-e-ba-wafa se ru-posh kis liye ho ahbab mehr-gustar ashab ruh-parwar didar kab tumhaara hoga hamein mayassar kis roz ab miloge ek din karo muqarrar kuchh uzr ho to aaen hum khud tumhaare ghar par pahlu mein tum nahin ho dushwar zindagi hai qabu mein tum nahin ho be-kar zindagi hai ai inqalab-e-duniya ai gardish-e-zamana ai rozgar-e-fani sun to mera fasana karta hun main shikayat ye tujh se dostana rakhta na tha jahan mein main shaukat-e-shahana ek rind-e-parsa tha ek mard-e-ba-khuda tha mahfil mein dosti ki ek yar-e-ba-wafa tha tu ne waraq ko ulta wo daur tu ne palta aankhon mein meri ab tak phirta hai sab wo naqsha ji bhar ke wo tamasha do din bhi tu na dekha kya ho gae wo charche kya ho gai wo duniya wo ham-nafas kahan hain wo ham-nashin kahan hain wo ahl-e-dil kahan hain wo mah-jabin kahan hain