mere mahbub teri ulfat-e-sadiq pe nazan hun tere husn-e-qayamat-khez-o-rangin ka ghazal-khwan hun magar is teri tarz-e-ajnabiyyat par main hairan hun tasalli de kabhi aakar mere qalb-e-pareshan ko sharab-o-sher mein dubi wo baaten yaad aati hain teri masum si ulfat ki ghaten yaad aati hain jo hanste bolte guzrin wo raaten yaad aati hain liye phirta hun main aankhon mein yaadon ke gulistan ko kahan wo din hain jab karte the hum baghat ki sairen wo sawan ke mahine mein bhari barsat ki sairen lab-e-ju chandni mein wo suhani raat ki sairen nazar ab dhundhti hai tere husn-e-kaif-saman ko in ayyam-e-mohabbat mein maze kya kya nahin lute wufur-e-shauq mein katre nahin kya main ne gul-bute mera dil todne wale kahin tera na dil tute khuda ke waste kar yaad apne ahd-o-paiman ko