grishm ki dil-fareb raatri kya hod laga kar khile hain amaltas aur madhu-malti rang aur sugandh aaj dho rahe hain tumhaari yaadon ki palki is sadak se itni bar guzra hun ki aahat ko pahchanne lage hain kutte mujhe apne itne qarib dekh kar bhi in mein koi harakat koi sugbugahat nahin ghaaliban ab inhen bhi mujh se koi tawaqqoa koi rah nahin rahi bahut saghan hai tumhaari pratiksha mera wikalp aawargi