idhar tere kuche se mera guzar bahane se wo tera le jaana ghar zamana ladakpan ka rangin tha ki tu sher-o-naghme ka shauqin tha badi der tak silsila-e-sukhan meri shakhsiyat mera andaz-e-fan saraha kiya tu jo ashaar ko tashaffi hui tere fankar ko yahin se juda silsila-e-hayat badal si gai thi meri kaenat ajab dard sine mein palta raha diya sa hawaon mein jalta raha bila-wajh phirna gali mein teri ki tham kar wahin rah gai zindagi wo kohsar wo barf par chandni udhar chand chadhta idhar chandni wo tanhaiyan dard ka wo safar tasawwur mein main gharq tha sar-basar achanak jo tu ne nazar pher li dukhon ki mere dil ko jagir di kahin aur ja khud basera kiya idhar dil mein aahon ne dera kiya jo izhaar ko meri aankhon mein the wo jugnu to mitti mein jazb ho chuke kaho kuchh meri yaad aati bhi hai khalish dil ki tujh ko satati bhi hai mere chaar-su hai udasi muhit kahun kis tarah main wo pahle se git asar kuchh bhi sheron mein baqi nahin wahi bazm hai par wo saqi nahin jo guzre kabhi tujh ko mera khayal nazar dil-girafta pe tu aa ke dal zamana hua tere darshan kiye bahut chaak sine ke main ne siye kisi taur ab dil bahalta nahin ghadi-bhar ko bhi chain milta nahin sanam koi milne ki tadbir kar muaf ab mere dil ki taqsir kar