ek ujla sa kanpta dhabba zehn ki sath par ludhakta hua naqsh, jis mein kabhi simat aai lakh yaadon ki mast angdai dagh jis ki jabin-e-gham pe kabhi ho gaya aa ke larza-bar-andam kisi bhule hue habib ka nam zakhm jis ki tapakti tah se kabhi ras pade dukhte ghunghat ulta ke kisi chehre ke saikdon khake aks an-dekha aks tairta hai aansuon ki rawaniyon mein rawan ruh ki shorishon mein saya-kunan zehn ki sath par ludhakta hua