yahi peshani ki jis par koi silwaT bhi nahin

yahi peshani ki jis par koi silwat bhi nahin
yahi raftar ki jis mein koi aahat bhi nahin

han yahi hat jo ab tak mere haton mein nahin
yahi angusht ki hairat se jo danton mein nahin

yahi be-dagh sa chehra hai jo takhayyul mein tha
jaise ek sada waraq bhi koi injil mein tha

yahi malbus jo is tan pe kahan thahra hai
aaine par bhi kahin aab-e-rawan thahra hai

sochta hun ki yahi jism yahi jism key aanch
yahi shaffaf badan jaise tarasha hua kanch

main ne dekha hai kahin khwab bhi ho sakta hai
yani ek dasht tah-e-ab bhi ho sakta he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close