![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/yaksui-sahir-ludhianvi-nazm-english.jpg)
ahd-e-gum-gashta ki taswir dikhati kyun ho ek aawara-e-manzil ko satati kyun ho wo hasin ahd jo sharminda-e-ifa na hua us hasin ahd ka mafhum jatati kyun ho zindagi shoala-e-be-bak bana lo apni khud ko khakistar-e-khamosh banati kyun ho main tasawwuf ke marahil ka nahin hun qail meri taswir pe tum phul chadati kyun ho kaun kahta hai ki aahen hain masaib ka ilaj jaan ko apni abas rog lagati kyun ho ek sarkash se mohabbat ki tamanna rakh kar khud ko aain ke phandon mein phansati kyun ho main samajhta hun taqaddus ko tamaddun ka fareb tum rusumat ko iman banati kyun ho jab tumhein mujh se ziyaada hai zamane ka khayal phir meri yaad mein yun ashk bahati kyun ho tum mein himmat hai to duniya se baghawat kar do warna man bap jahan kahte hain shadi kar lo
Please share if you liked this!!!