![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/yatim-insaf-ashok-lal-nazm-english.jpg)
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh tapak raha hai lahu aastin-e-qatil se jhalak raha hai abhi khauf chashm-e-bismil se hain khak pe nae dhabbe hain baam pe nae dagh har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh hui hai aadmiyat sarf din-e-shaitan par hua hai sarf lahu tishnagi-e-haiwan par ye khun-e-khak-nashini bana hai rizq-e-sitam hua hai silsila-e-jaur ke alam pe raqam pukar karta hai be-asra yatim lahu kisi ke pas samaat ka waqt hai na dimagh zaban-e-muddai kham hai shahadat aawara zamin ke sine pe bahta hai khun ka dhaara har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
Please share if you liked this!!!