ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo bhale chhin lo mujh se se meri jawani magar mujh ko lauta do wo bachpan ka sawan wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo bhale chhin lo mujh se meri jawani magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani mohalle ki sab se nishani purani wo budhiya jise bachche kahte the nani wo nani ki baaton mein pariyon ka dhera wo chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera bhulae nahin bhul sakta hai koi wo chhoti si raaten wo lambi kahani wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani khadi dhup mein apne ghar se nikalna wo chidiyan wo bulbul wo titli pakadna wo gudiyon ki shadi pe ladna jhagadna wo jhulon se girna wo girte sambhalna wo pital ke chhanw ke pyare se tohfe wo tuti hui chudiyon ki nishani wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani kabhi ret ke unche tilon pe jaana gharaunde banana bana ke mitana wo masum chahat ki taswir apni wo khwabon khilaunon ki jagir apni na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan badi khubsurat thi wo zindagani ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo bhale chhin lo mujh se meri jawani magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani