nahin faruqi! is dharti ko main hargiz na chhodunga mujhe jis daur ne pala hai, wo be-shak purana hai mujhe mahbub ab bhi ahd-e-rafta ka fasana hai magar ye daur-e-nau ye zau shua-e-agahi ki rau main itni khub-surat zindagi se munh na modunga ajal bar-haq sahi lekin rahega jab talak mumkin main chahunga ki lipta hi rahun dharti ke daman se ye dharti aasmanon se ziyaada khub-surat hai ye mahbuba hai is mein man ki shafqat ki bhi azmat hai zabardasti jo maut aai (wo aati hai aur aaegi) to main koshish karunga to shakh-ha-e-lala-o-gul ko jakad lun apne hathon se gulabon se kahunga tum abhi mujh ko na jaane do agar haara to is duniya ki sari dilkashi le kar zamin ki god hi mein ek gahri nind so lunga main mahbuba nahin man se kahunga phir jaga dena bada ziddi sa baalak hun main teri god se khud shola-e-gul ban ke ubharunga! ajab aalam tha aur main aasman se sakht barham tha khuda ko galiyon par galiyan dene mein khoya tha ki munni ne kaha dekho khuda ne mujh ko bheja hai magar is waqt munni bhi mujhe manhus lagti thi mahine guzre faruqi! magar ab sochta hun main koi mane na mane ek khuda hai nam jo bhi ho! na umr-e-ishq baqi hai na mai-khana na paimana na nazron mein kisi shahnaz-e-lala-rukh ka kashana to kya hamd o salam o nat likkhun ye nahin mumkin to masjid hi karun aabaad kuchh karna zaruri hai khuda bhi mujh ko kahil pa ke phir barham na ho jae magar faruqi! duniya aaj behad khub-surat hai ba-in umr-e-tabii mujh ko bhi us ki zarurat hai khuda fankar hai wo bhi yaqinan chahta hoga ki dekhe us ki sanat se kise kitni mohabbat hai agar main is zamin aur is ki ranai ko apna lun to mera dil ye kahta hai ki ye bhi ek ibaadat hai abhi ye sochta hun kal khuda hi jaane kya sochun musalsal sochte rahna meri bachpan ki aadat hai diwali aur subh-e-id faruqi! mubarak ho mujhe chhodo mein jis aalam mein hun wo meri qismat hai!!