ye hath kitne hasin kitne khubsurat hain ye hath jin pe hai ek jal sa lakiron ka lakiren jin mein hain sadiyon ke irtiqa ke nishan nishan amal ke azaem ke ilm-o-hikmat ke saubaton ke salabat ke aur mashaqqat ke wafa ke qurb-o-rifaqat ke mehr-o-ulfat ke safa-o-sidq ke insaniyat ki khidmat ke karam ke jud-o-sakha ke ata ke bakhshish ke kamal-o-kashf ke kawish ke aur koshish ke ye hath kitne hasin kitne khub-surat hain magar hamesha mujhe in se khauf aaya hai ye hath sanp ka phan hain ye hath hath nahin mujhe na dekho mere hath par nazar rakkho