ye kaise log hain jo sang-basta jaliyon ki tarah aankhen band rakhte hain sirhane ladkiyon ke raat ki bikhri kitaben hain aur un ke khwab andheron ke darakte rauzanon se dhaddhadati billiyon ki tarah ghar ghar phail jate hain main sari raat aawazon ka mubham shor sunta hun aur aankhen band rakhta hun aur un ke sath ho leta hun jin ka rasta mera muqaddar hai so ab meri gawahi kaun dega ki main apni gawahi ke liye zinda nahin hun wo aise log the jo dasht-e-be-diwar mein apne safar ka nind se aaghaz karte the aur un ki ungliyan sahrai sanpon ki tarah un ke badan par rengti thin aur un ki gardanen tuti kamanon ki tarah un ke badan par jhulti thin wo apni pat-khuli aankhon se sote the wo chalte the to un ki aastinen panw mein aati thin aur wo ruk ke chalte the darakhton mein kahin baitha rupahli rut ka karinda samundar samt ka qutbi sitara hai samundar meri aankhon ka ishaara hai use kahna wo meri mez par apni hatheli yun jamae mujh ko mat dekhe use kahna sitaron aur un ki chaal mein kuchh farq hota hai use kahna wo apni gardan-e-be-sakhta ke aaine mein mujh ko mat dekhe use kahna wo apni billiyon ki gardanon par hath rakh kar mujh ko mat dekhe use kahna mohabbat ek akeli naw hai aur aasman aaina-bardari ka mujrim hai