zehan khali hai khala nur se ya naghme se ya nikhat-e-gum-rah se bhi pur na hua zehan khali hi raha ye khala harf-e-tasalli se tabassum se kisi aah se pur na hua ek nafi larzish-e-paiham mein sahi johd-e-be-kar ke matam mein sahi hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain is khala ko (isi dahliz pe soe hue sarmast gada ke manind) kasi minar ki taswir se ya rang ki jhankar se ya khwabon ki khushbuon se pur kyun na karen? ki ajal hum se bahut dur bahut dur rahe? nahin hum jaante hain hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain jaante hain ki khala hai wo jise maut nahin kas liye nur se ya naghme se ya harf-e-tasalli se ise jism banaen aur phir maut ki warafta pazirai karen? nae hangamon ki tajlil ka dar baz karen subh-e-takmil ka aaghaz karen?