ye lamha lamha badalti sochen

har ek jazba hai muztarib kyon
na pyar karne ko chahta dil

na nafraton ka khayal koi
ye kaisi purwai chal rahi hai

ki lafzon mein zang sa laga hai
hain dhajji dhajji khayal sare

be-rabt jumle phate phate se
hain bijliyon ke ajib tewar

jala ke rakh dengi ye nasheman
main un ko apna kahun bhi kaise

wo apne ho kar bhi ghair se hain
hain khokhli si ye sari baaten

bajen bhi gar to na sun sukun main
sarab ke pichhe daudti main

pakad na pai hun gard-e-pa bhi
chhalawa jaisa guzar gaya wo

bichhae baithi rahi main palken


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close