udasi ki jhilmil jhil ke par main ne dekha tumhaari lal chudiyan sabz hansi hans rahi thin os ki ek qurmuzi bund tumhaari peshani par damak rahi thi khush-khwabi ke nakhunon se tum andeshon ki girhen khol rahi thin chand ki nami se imkan ke be-kanar panne par kuchh likh rahi thin tumhaari ungliyan aur tumhaare panw ke niche dharti ki jhanjhan baj rahi thi aur ye mera wahm nahin ki prithwi par kahin jab chand ek bachche ke sath daud raha tha tum hawa se apna hath chhuda kar ek saji hui chaukhat mein dakhil ho gai thin aur ye mera khwab nahin ki suraj jab aadhe aasman mein chamak raha tha apni chudiyan apni bundi apne andeshe apni ungliyan apne hath aur apne hont sab utar kar tum ne aankh se aankh jalai thi jalti batti bujhai thi