ye raat hai ya hayat hai pul-e-siraat hai andhere mein lamhon ki tez dhaar par chale hue halki aankh malte hue lahuluhan qadam lekin kat kar girte hain nahin karte bhi nahin zakhmi pair liye abhi aur kitni dur chalna hai malum nahin is raste ki sarhad hamesha nazdik dikhai deti hai lekin nazdik pahunchte hi madum ho jati hai aur hum ek aur rasta ek aur rahguzar ubhar aati hai shayad yahi manzil bhi hai aur yahi rasta bhi hai shayad yahi is zindagi ka sahil bhi hai ki hum chalte rahen khamosh ya phir chillate ya gate hue khud apne aap ko koi git koi naghma sunate hue gane wale bhi hum sunne wale bhi hum hamari duaen bhi thi hamari zaban se nikal kar hamare dil tak hi jati hain dil agar sun le to duaon mein asar aa jata hai na sune to hum hath upar utha kar niche giraate rahte hain aur rote rahte hain is raat ke andhiyare mein khile hue zakhmon ke phul bhi hamare hamari aahon ke kante bhi hamare hum tumhaare tum bhi hamare khushiyan bhi apni gham bhi hamare is phul aur dhul se nikal jaane ke baad pul-e-siraat se phisal jaane ke baad taqdir sambhal jaane ke baad jab aankh khulegi to koi phulon ki bich hamari muntazir na hogi hamari nindon mein koi hansta hua khwab nahin aaega hamare hathon mein koi gulab nahin aaega hamare samne koi baam-e-sharab aur banhon mein koi shahab nahin aaega aaega to ek muhib sannata ek lambi khamoshi ek na sunai dene wali aawaz ek na dikhai dene wala khala jis mein na hum hain na hamara saya hoga na hone ka ilm na hone ka ehsas ek aisa lamba pul jis ki kahani hum apne dusre shahr mein bhi suna na paenge hum wahan se laut kar dobara yahan aa na paenge