bahut na thokaren khao ye shahr-e-dilli hai qadam sanbhal ke uthao ye shahr-e-dilli hai yahan ki khak ibarat hai 'mir'-o-'ghaalib' se yahan na khak udao ye shahr-e-dilli hai ye baadshahon ka maskan nagar hai waliyon ka yahan to hosh mein aao ye shahr-e-dilli hai kahin jawab nahin jis ka naznin hai ye wo tum is ke naz uthao ye shahr-e-dilli hai na hoga is ke dar-o-baam par zara bhi asar hazar shor machao ye shahr-e-dilli hai gharaz baghair yahan dosti ki rasm nahin samajh ke dost banao ye shahr-e-dilli hai bahut hai koi shanasa jo rah mein mil jae kisi ke ghar bhi na jao ye shahr-e-dilli hai kise khabar hai ki kab kis se pher le nazren yahan na pyar badhao ye shahr-e-dilli hai har ek chamakti hui shai guhar nahin hoti fareb aur na khao ye shahr-e-dilli hai kahan chali ho kise de rahi ho yun aawaz gharib dil ki sadao ye shahr-e-dilli hai hayat itni pareshan kyon hui 'iqbaal' sawal hi na uthao ye shahr-e-dilli hai