use dekhne ki tamanna abas wo kaisa lagega abhi dhundli dhundli lakiron ne chehra banaya nahin abhi us ki aawaz bhi resha resha hai us ne guzarti hui saaton ko bataya nahin abhi barf ki tah ke niche hain aankhon ki jhilen abhi jhil ki machhliyan zard suraj ki kirnon se mahrum hain magar kya khabar wo azal se abad tak isi kaifiyat mein rahe ya meri aankh us ki badalti hui rangton se shanasa na ho main use kyun adhura kahun meri aankhen hi shayad mukammal na ho yahi sochte sochte mujh ko nind aa gai aur hawa der tak mere kanon mein kahti rahi dekh le dekh le main ne ghabra ke aankhen uthain wahan tirgi ke siwa aur koi na tha main ne dil se kaha raat kafi padi hai abhi swar hain swar hain abhi nind ka pahla jhonka bhi aaya na tha phir hawa ne kaha dekh le dekh le khamushi rang hai tirgi ki sada sang hai bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pa se zyaada nahin aur tu sochta hai ki takmil ho chehre itne shanasa hon to un ko pahchan le ye tamanna abas