suraj chhupa to raat ke par phailte gae phir yun hua ki tez hawaon ke dosh se aandhi utar ke gile darakhton pe chha gai kuchh shakhen tut kar jo darakhton se aa padin ek sath fakhtaen kai chikh kar girin kuchh ghonslon ko tez hawaen nigal gain din-bhar nikal raha hai magar unghta hua qatil siyah-rukhon ka lahu sunghta hua