jab un ka zikr hamari zaban pe aata hai to jaise dil mein koi ek diya jalata hai wo jin ka ilm ki duniya mein bol baala hai jahan-e-ilm mein phaila hua ujala hai bataen kya tumhein zakir husain kaise the wo phul ban ke hamare chaman mein rahte the chaman udas hai wo zinat-e-chaman hai kahan is anjuman mein wo ab sadr-e-anjuman hai kahan sunai deti nahin ab wo pur-asar-taqrir nazar se ab hui ojhal wo azm ki taswir hamesha rahta tha insaniyat ka pas unhen na mushkilat mein hota kabhi hiras unhen moallimon ko wo dete the daras mehr-o-wafa wo chahte the madrason mein khush-gawar faza wo chahte the phalen phulen naunihaal-e-chaman nae shagufon se ho pur-bahaar ab gulshan