kabhi aisa bhi hota hai ki barson baad banjar is zamin-e-dil mein konpal sar uthati hai kali khilti hai titli raqs karti gungunati hai kiran ek jagmagati hai hawa-e-khush-gumani ka farhat-angez jhonka mujh se sargoshi mein kahta hai tumhein us se mohabbat hai use tum se mohabbat hai na tum izhaar karte ho na wo iqrar karti hai ye sach hai phir bhi tum donon hi apni zat se inkar karte kahi har baat se inkar karte ho zara apne dilon se puchh kar dekho kahin aisa na ho ye waqt hathon se nikal jae zamana chaal chal jae