zamana khuda hai use tum bura mat kaho magar tum nahin dekhte zamana faqat resman-e-khayal subuk-maya, nazuk, tawil judai ki arzan sabil! wo subhen jo lakhon baras pesh-tar thin, wo shamen jo lakhon baras baad hongi, unhen tum nahin dekhte, dekh sakte nahin ke maujud hain ab bhi, maujud hain wo kahin magar ye nigahon ke aage jo rassi tani hai use dekh sakte ho, aur dekhte ho ke ye wo adam hai jise hast hone mein muddat lagegi sitaron ke lamhe, sitaron ke sal! mere sehan mein ek kam-sin banafshe ka pauda hai tayyara koi kabhi us ke sar par se guzre to wo muskuraata hai aur lahlahata hai goya wo tayyara, us ki mohabbat mein ahd-e-wafa ke kisi jabr-e-taqat-ruba hi se guzra! wo khush-emtimadi se kahta hai lo dekho, kaise isi ek rassi ke donon kinaron se hum tum bandhe hain! ye rassi na ho to kahan hum mein tum mein ho paida ye rah-e-visal? magar hijr ke in wasilon ko wo dekh sakta nahin jo sarasar azal se abad tak tane hain! jahan ye zamana hanuz-e-zamana faqat ek girah hai!