zamin ka qarz hai hum sab ke dosh-o-gardan par ajib qarz hai ye qarz-e-be-talab ki tarah hamin hain sabza-e-khud-rau hamin hain naqsh-e-qadam ki zindagi hai yahan maut ke sabab ki tarah har ek chiz numayan har ek shai pinhan ki nim roz ka manzar hai nim shab ki tarah tamasha-gah-e-jahan ibrat-e-nazara hai ziyan-ba-dast rifaqat ke karobar mere utarti jati hai baam-o-dar-e-hayat se dhup bichhadte jate hain ek ek kar ke yar mere main dafn hota chala hun har ek dost ke sath ki shahr shahr hain bikhre hue mazar mere