gosha-e-zanjir mein ek nai jumbish huwaida ho chali sang-e-khara hi sahi khar-e-mughilan hi sahi dushman-e-jaan dushman-e-jaan hi sahi dost se dast-o-gareban hi sahi ye bhi to shabnam nahin ye bhi to makhmal nahin diba nahin resham nahin har jagah phir sina-e-nakhchir mein ek naya arman nai ummid paida ho chali hajla-e-simin se tu bhi pila-e-resham nikal wo hasin aur dur-uftada farangi aurten tu ne jin ke husn-e-roz-afzun ki zinat ke liye salaha be-dast-o-pa ho kar bune hain tar-ha-e-sim-o-zar un ke mardon ke liye bhi aaj ek sangin jal ho sake to apne paikar se nikal shukr hai dumbaala-e-zanjir mein ek nai jumbish nai larzish huwaida ho chali kohsaron reg-zaron se sada aane lagi zulm-parwarda ghulamo bhag jao parda-e-shab-gir mein apne salasil tod kar chaar-su chhae hue zulmat ko ab chir jao aur is hangam-baad-awar ko hila-e-shab-khun banao