jo mujh pe biti hai us ki tafsil main kisi se na kah sakunga jo dukh uthae hain, jin gunahon ka bojh sine mein le ke phirta hun, un ko kahne ka mujh ko yara nahin hai, main dusron ki likhi hui kitabon mein, dastan apni dhundhta hun jahan jahan sarguzisht meri hai aisi satron ko main mitata hun raushnai se kat deta hun mujh ko lagta hai, log un ko agar padhenge to rah chalte mein tok kar mujh se jaane kya puchhne lagenge!