qalb o nazar ki zindagi dasht mein subh ka saman chashma-e-aftab se nur ki naddiyan rawan! husn-e-azal ki hai numud chaak hai parda-e-wajud dil ke liye hazar sud ek nigah ka ziyan! surkh o kabud badliyan chhod gaya sahab-e-shab! koh-e-izam ko de gaya rang-ba-rang tailisan! gard se pak hai hawa barg-e-nakhil dhul gae reg-e-nawah-e-kazima narm hai misl-e-parniyan aag bujhi hui idhar, tuti hui tanab udhar kya khabar is maqam se guzre hain kitne karwan aai sada-e-jibrail tera maqam hai yahi ahl-e-firaq ke liye aish-e-dawam hai yahi kis se kahun ki zahr hai mere liye mai-e-hayat kohna hai baz-e-kainat taza hain mere wardat! kya nahin aur ghaznawi kargah-e-hayat mein baithe hain kab se muntazir ahl-e-haram ke somnat! zikr-e-arab ke soz mein, fikr-e-ajam ke saz mein ne arabi mushahidat, ne ajami takhaiyyulat qafila-e-hijaz mein ek husain bhi nahin garche hai tab-dar abhi gesu-e-dajla-o-furaat! aql o dil o nigah ka murshid-e-awwalin hai ishq ishq na ho to shar-o-din butkada-e-tasawwuraat! sidq-e-khalil bhi hai ishq sabr-e-husain bhi hai ishq! marka-e-wajud mein badr o hunain bhi hai ishq! aaya-e-kaenat ka mani-e-der-yab tu! nikle teri talash mein qafila-ha-e-rang-o-bu! jalwatiyan-e-madrasa kor-nigah o murda-zauq jalwatyan-e-maikada kam-talab o tahi-kadu! main ki meri ghazal mein hai aatish-e-rafta ka suragh meri tamam sarguzisht khoe huon ki justuju! baad-e-saba ki mauj se nash-o-numa-e-khar-o-khas! mere nafas ki mauj se nashw-o-numa-e-arzu! khun-e-dil o jigar se hai meri nawa ki parwarish hai rag-e-saz mein rawan sahib-e-saz ka lahu! fursat-e-kashmukash mein in dil be-qarar ra yak do shikan zyaada kun gesu-e-tabdar ra lauh bhi tu, qalam bhi tu, tera wajud al-kitab! gumbad-e-abgina-rang tere muhit mein habab! aalam-e-ab-o-khak mein tere zuhur se farogh zarra-e-reg ko diya tu ne tulu-e-aftab! shaukat-e-sanjar-o-salim tere jalal ki numud! faqr-e-'juned'-o-'bayazid' tera jamal be-naqab! shauq tera agar na ho meri namaz ka imam mera qayam bhi hijab! mera sujud bhi hijab! teri nigah-e-naz se donon murad pa gae aql, ghayab o justuju ishq, huzur o iztirab! tira-o-tar hai jahan gardish-e-aftab se! tab-e-zamana taza kar jalwa-e-be-hijab se! teri nazar mein hain tamam mere guzishta roz o shab mujh ko khabar na thi ki hai ilm-e-nakhil be-rutab! taza mere zamir mein marka-e-kuhan hua! ishq tamam mustafa! aql tamam bu-lahab! gah ba-hila mi-barad, gah ba-zor mi-kashad ishq ki ibtida ajab ishq ki intiha ajab! aalam-e-soz-o-saz mein wasl se badh ke hai firaq wasl mein marg-e-arzu! hijr mein lazzat-e-talab! ain-e-visal mein mujhe hausla-e-nazar na tha garche bahana-ju rahi meri nigah-e-be-adab! garmi-e-arzu firaq! shorish-e-ha-o-hu firaq! mauj ki justuju firaq! qatre ki aabru firaq!