zawal ke aasmanon mein ladkhadate andhere khalaon ki duniyaon mein muallaq hote andhere shahron ke burjon ki gumnam fasilon par girte tashaddud se aabaad insani bastiyon ke chehron se lipatte aur insani wajud ki dhajjiyan dekh kar chikhte rote kitne hazar sal bit gae hain kitne hazar salon se zawal ki chikhon ko sunte sunte saaten thak gai hain saaten az-bas thak gai hain jali hui ishtihaon ki qausen zaichon ke huruf dekhte dekhte dam tod chuki hain khwahishon ke be-payan hujum hasraton ki surkh mehrabon ke niche sadiyon ki dabiz gard ke andar dhanste chale gae hain khakistari ayyam ki mutwarrim dhul mein be-ant mutalahaton ke war sahte sahte sab kuchh madfun ho gaya hai magar ab ye zawal ki aakhiri chikh hai sahilon par parindon ke nae qafilon ka shor hai aur baadbanon pe surkh rangon ki phadphadahat gum-gashta shahron ki be-abaad fasilon ke burjon par hum zawal ki aakhiri saaton ki aakhiri hichkiyan sun rahe hain