botal ke andar ka jin nikle to us se puchhen jine ka kya dhang karen kin sapnon se jang karen kholo soda lao gilas do aane ke sikh-kabab cigarette bhi lete aana park mein kya wo aai thi aaj bhi kya sharmai thi kaise kapde pahne thi kya andaz tha jude ka tum ne us se puchha tha raat jo tum ne socha tha 'faiz' ki taza nazm padhi aur 'bedi' ka afsana lup se kya hasil hoga dariya kya sahil hoga bhuk se janta marti hai punjabi sube ke baad chin nai dhamki dega indara ji ke bhashan mein pandit ji ki baat kahan shastari urdu bolte the jan-sanghi kyun sunte the aaj kisi ki barsi thi west-indies hi jitega thoda soda aur milao kidhar lottery hai batlao tum itne khamosh ho kyun nazm koi kah dali kya to phir kya hai ho jae lekin shart tarannum hai pankhe ki speed badhao kathmandu nepal mein hai sartre ki biwi kaisi hai hum bandar ke pote hain merath se qainchi bhi lae la-yani hain marg o zist be-mani hain sab alfaz be-his hai makhluq-e-khuda har insan ek saya hai shadi gham ek dhoka hai dil aankhen lab hath dimagh ek waba ki zad mein hain apne zawal ki had mein hain