man bete ke darmiyan ek manzum mukalima beta bas bahut padh liya kuchh bhul nahin jaunga man main bas aaj se school nahin jaunga man mere bete mere masum se pyare bachche roz ek taza bahana nahin karte aise achchha mujh ko ye batao hai pareshani kya tum ko achchhi nahin lagti koi ustani kya kaun si baat se jhunjhlae hue rahte ho yun jo school se uktae hue rahte ho beta yun to bachchon se hai school ka har class bhara lekin in mein na koi dost mera yar mera ek bhi meri tawajjoh nahin hasil karta apni baaton mein koi bhi nahin shamil karta main ne dekha hai chale jate hain sab dekhte hi meri maujudgi jaise ki musibat hai koi sare teachers bhi rahte hain ba-har-haal khafa main kisi waqt unhen khush hi nahin kar pata ek na ek baat pe karte hain wo har roz jirah wahan koi bhi nahin teri tarah meri tarah man mere bete tumhein school to jaana hoga jo khafa hain unhen har roz manana hoga beta man bhala kyon main ye rozana ki takrar sahun kyon bhala ruthe hue logon ke hamrah rahun man sab ko khush rakhna kisi ke liye aasan nahin main samajhti hun ki is ka koi imkan nahin lekin school to pabandi se jao bete zimmedari jo mili us ko nibhao bete kyun-ki talim tumhaare liye hai kuchh aur hai ab mere har roz jagane ka hai kuchh aur sabab ek taraf apna ye uljha dil-e-nashad rakho tum principal ho ye ek baat sada yaad rakho