zimmedari

kash tu aa ke dekh sakta kabhi
aaj kitni badal gai hun main

chaar din ki teri judai mein
kis qadar ab sanbhal gai hun main

ek zamana tha jab tera saya
mere sar par tha bargadon ki tarah

kitni be-fikr zindagi thi meri
hosh apna na tha kisi ka khayal

apne kamre mein bas pade rahna
raat-din sirf shairi karna

waqt se sona jagna kaisa
waqt ke pichhe bhagna kaisa

zindagi-bhar jo tu ne samjhaya
waqt ne sab sikha diya pal mein

ab yahan kuchh nahin hai be-tartib
sare kamre hain ab saliqe se

ek ek chiz ab hai apni jagah
sare ghar mein tujhe milega shuur

faltu pankhe ab nahin chalte
bulb ab be-sabab nahin jalte

jab nikalti hun main kitchen se kabhi
dhyan se gas band karti hun

ab main jab iron uthati hun
mujh se kapde bhi ab nahin jalte

saf-suthra hai ghar ka har kona
mujh ko sab ki hai is qadar parwah

sochti hun ki tere jate hi
kaise sanche mein dhal gai hun main

hae kaisi badal gai hun main
kash tu aa ke dekh sakta kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close