main khuda ki qabr hun khuda mere andar dafn hai bhai, main ne apne hathon se dafn kiya hai use! farq ye hai ki dafn hone ke bawajud zinda hai wo zinda dar-gor upar se malba hatane ki der hai andar se khuda nikal aaega han han mere andar se nikal aaega ye jo manon mitti dal rakkhi hai main ne us par aqidon aur nazaryon ki khayalon aur wahimon ki khwahishon aur laghwiyat ki agar kisi roz kisi tufan barish mein bah gai to dekhna isi mere tute-phute badan ki ujad qabr se jita-jagta tar-o-taza khuda kaise numudar ho jaega jaise sar-ba-falak pahadiyon ki yakh-basta wadiyon mein barf pighalne ke baad dekhte hi dekhte ta-hadd-e-nazar phul khil uthte hain