zindagi aur maut

zindagi ki ajab kahani hai
ek din maut sab ko aani hai

kitna nadan hai magar insan
jaante bujhte bhi hai anjaan

aish-o-ishrat mein kho gaya hai ye
nind ghaflat ki so gaya hai ye

us ko ye bhi nahin zara ehsas
aaj jo zindagi hai us ke pas

wo isi zat ki amanat hai
jo sada se hai ta-qayamat hai

hath mein hai usi ke sham-o-sahar
jaanta kaun hai kise hai khabar

waqt kab hath se phisal jae
zindagi maut mein badal jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close