ek khasta-haal kutiya mein zindagi khamosh sang ki manind bujhi-bujhi aankhen na khwab na khwahish na dil mein dard ki khushbu na hont par naghme udas faza ‘ifrit ke sae hain ababilon ke jism se chipki ye raat chalti hai aur shabnam bhi aansuon ki qindilen saja kar rah takti hai tamam pagdandi jugnuon se khali hai zard patte bhi khamushi mein lipte hain aur rahi hai ki ek muddat se idhar nahin aaya