zindagi ho gai hai be-tartib ab thikane pe koi chiz nahin kuchh yahan tha magar yahan kab hai kuchh wahan hai magar wahan kab hai ab sar-e-jalwa-gah koi nahin jo bhi hai runuma guman hi to hai hona hone ka ek nishan hi to hai sham mein ghul gaya hai khwab ka rang dil mein koi diya jale na jale khwab apne kamal ko pahuncha kisi tabir mein dhale na dhale aur koi hai is khayal mein gum laut kar ghar chale chale na chale jis ke iklaute sard kamre mein zard malbus mein hai tanhai raston ko nigal gae sae dard ne chat li hai binai ab kahan hai khayal-e-ranai zindagi ho gai hai be-tartib ab thikana nahin raha koi jis jagah hum thakan utar sakin