jis ne janm ki ghutti chakkhi us ko zine tai karna hain andar bahar niche upar aage pichhe zine har har or jitna jaano chadh aae utna samjho utar chuke ho us ne kaha zine ajab fareb hain baba aaj talak ye khul nahin pae zine ye bal khate zine janm janm ke pher azal ghadi se ant samay tak zine aprampar us ne kaha zina zina chadhte jao chadhte jao baam pe jab pahunchoge to patal ki ek shab-rangi nagin phan phailae paoge jis ne tum ko dasna hai zina zina utarte jao aur utarte jao jab aangan mein qadam rakhoge baam pe khud ko paoge us ne kaha nafi isbaat ke is malghube mein kaisa chadhna kaisa utarna gole ki is khinch mein baba baam kahan patal kahan hai kis ko khabar hai zine to bas zine hain hum ko unhen tai karna hai