ek maulwi sahab ki sunata hun kahani tezi nahin manzur tabiat ki dikhani shohra tha bahut aap ki sufi-manushi ka karte the adab un ka aaali o adani kahte the ki pinhan hai tasawwuf mein shariat jis tarah ki alfaz mein muzmar hon maani labrez mai-e-zohd se thi dil ki surahi thi tah mein kahin durd-e-khayal-e-hama-dani karte the bayan aap karamat ka apni manzur thi tadad muridon ki badhani muddat se raha karte the ham-sae mein mere thi rind se zahid ki mulaqat purani hazrat ne mere ek shanasa se ye puchha 'iqbaal' ki hai qumri-e-shamshad-e-maani pabandi-e-ahkaam-e-shariat mein hai kaisa go sher mein hai rashk-e-kalim-e-hamdani sunta hun ki kafir nahin hindu ko samajhta hai aisa aqida asar-e-falsafa-dani hai us ki tabiat mein tashayyo bhi zara sa tafzil-e-ali hum ne suni us ki zabani samjha hai ki hai rag ibaadat mein dakhil maqsud hai mazhab ki magar khak udani kuchh aar use husn-faramoshon se nahin hai aadat ye hamare shora ki hai purani gana jo hai shab ko to sahar ko hai tilawat is ramz ke ab tak na khule hum pe maani lekin ye suna apne muridon se hai main ne be-dagh hai manind-e-sahar us ki jawani majmua-e-azdad hai 'iqbaal' nahin hai dil daftar-e-hikmat hai tabiat khafaqani rindi se bhi aagah shariat se bhi waqif puchho jo tasawwuf ki to mansur ka sani us shakhs ki hum par to haqiqat nahin khulti hoga ye kisi aur hi islam ka bani al-qissa bahut tul diya waz ko apne ta-der rahi aap ki ye naghz-bayani is shahr mein jo baat ho ud jati hai sab mein main ne bhi suni apne ahibba ki zabani ek din jo sar-e-rah mile hazrat-e-zahid phir chhid gai baaton mein wahi baat purani farmaya shikayat wo mohabbat ke sabab thi tha farz mera rah shariat ki dikhani main ne ye kaha koi gila mujh ko nahin hai ye aap ka haq tha ze-rah-e-qurb-e-makani kham hai sar-e-taslim mera aap ke aage piri hai tawazo ke sabab meri jawani gar aap ko malum nahin meri haqiqat paida nahin kuchh is se qusur-e-hamadani main khud bhi nahin apni haqiqat ka shanasa gahra hai mere bahr-e-khayalat ka pani mujh ko bhi tamanna hai ki 'iqbaal' ko dekhun ki us ki judai mein bahut ashk-fishani 'iqbaal' bhi 'iqbaal' se aagah nahin hai kuchh is mein tamaskhur nahin wallah nahin hai