mujh se badhi hai ilm ki daulat dekhne mein hun main be-qimat jahil ko be-zari mujh se aalim ki hai yari mujh se mujh mein sheron jaisi himmat sachchai hai meri taqat garche lagta chhota sa hun kaam bade par main karta hun dekho to be-kar hi samjho lekin main anmol hun bachcho tir nahin talwar nahin main dushman par bhi bar nahin main meri taqat ko kya jaano dana ho to tum pahchano kaam adalat mein bhi aaun pyar mohabbat mein bhi aaun khat likhna paigham bhi dena sath mein sab ka nam bhi dena pahchano to kaun hun pyare aata hun main kaam tumhaare