chand bhi kambal odhe nikla tha sitare thithur rahen the sardi badh rahi thi thand se bachne ke liye mujhe bhi kuchh rishte jalane pade kuchh rishte jo bas nam ke bache the khinch raha tha main un ko kabhi wo mujhe khincha karte the sardi badh rahi thi thand se bachne ke liye mujhe bhi kuchh rishte jalane pade kuchh rishte bahut kamzor ho chale the un ki lapat bhi bahut kam thi kuchh itne patle ki jalne se pahle rakh ho gae sardi badh rahi thi thand se bachne ke liye mujhe bhi kuchh rishte jalane pade kuchh purane rishte the mere janam ke pahle ke sajoya tha unhen main ne unhen nahin tha koi lagaw mujh se sardi badh rahi thi thand se bachne ke liye mujhe bhi kuchh rishte jalane pade
This is a great janam astmi shayari. True lovers of sardi shayari image will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this thand pe shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!