Agar hum door ho jaayein Kahin duniya mein kho jaayein

Agar hum door ho jaayein
kahin duniya mein kho jaayein,
batao kya karogi tum!!

hamain dhoondogi ya phir
hamein bhool jaogi tum

hamain awaaz dogi ya phir
kisi guzri kahani mein
hamara naam likh dogi!!

chalo aisa hi kar lena
tum khud bhi badal jana

hamein tum bhool hi jana
magar itni guzaarish hai

hamara zikr jab aaye
thoda muskura dena

khushi ka ho ya gham ka ho
bas ek aansu baha dena.

Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya

Aaj maine apne fir souda kiya,
aur fir main door se dekha kiya,

zindagi bhar mere kaam aaye usul,
ek ek karke unhe becha kiya,

bandh gayi thi dil mein kuchh umeed si,
khair tumne jo kiya achha kiya,

kuchh kami apni wafaon mein bhi thi,
tumse kya kahte ki tumne kya kiya,

kya batau kon tha jisne mujhe,
is bhri duniya mein hai tanha kiya.

Barso Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di

Barso ki jaan pahchan thi ek roj usne tod di,
hoshiyar hum bhi kam nahi umeed hamne chhod di,

gaanth padi hai kis tarah yeh baat hai kuchh is tarah,
woh dor tooti bar bar har bar hamne jod di,

usne kaha kaise ho tum bas maine lab khole hi the,
aur baat duniya ki taraf jaldi se usne mod di.

Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka

Woh jamana gujar gaya kab ka,
tha jo deevana mar gaya kab ka,

dhundhta tha jo ek nayi demise,
lotke apne ghar gaya kab ka,

woh jo laya tha humko dariya tak,
par akele utar gaya kab ka,

uska jo haal hai wohi jaane,
apna toh jakham bhar gaya kab ka,

khwab dar khwab tha jo tana bana,
ab kahan hai bikhar gaya kab ka.

Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna

Yeh duniya tum ko raash aaye toh kahna,
na sar pathar se takraye toh kahna,

yeh gull kagaj hain yeh jewar hain peetal,
samajh mein jab yeh aa jaye toh kahna,

bahut khus ho ke usne kuchh kaha hai,
na kahkar woh mukar jaaye toh kahna,

bahal jaaoge tum gham sun kar mere,
kabhi dil gham se ghabraye toh kahna,

dhuan jo kuchh gharo se uthh raha hai,
na poore sahar par chhaye toh kahna.

Jab Bhi Likhta Hu

Jab bhi likhta hu,
achha tere baare mein
na jaane kyu mere haath ruk se jaate hai,

bahut bure ho tum,
na socha tumne itna bhi ke,
tute huye dil, kabhi na jud paate hai.

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close