Aye khuda aaj ye faisla karde Use mera ya mujhe uska karde

Aye khuda aaj ye faisla karde
use mera ya mujhe uska karde.

bahut dukh sahe hain maine
koi khusi ab toh muqadar karde.

bahut mushkil lagta hai us se door rehna
judai ke safar ko kamm karde.

jitna door chale gaye woh mujhse
use utna kareeb karde.

nahi likha agar naseeb me uska naam
to khatam kar ye zindagi
aur mujhe fanaa karde.

Me Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi Tera Toh Koi Khuda Hai Mera

Me kab se kitna hu tanha mujhe pata bhi nahi
tera toh koi khuda hai mera khuda bhi nahi,

kabhi yeh lagta hai ab khatm ho gaya hai sab kuchh
kabhi yeh lagta hai ab tak toh kuchh hua bhi nahi,

kabhi toh baat ki usne' kabhi raha khamosh
kabhi toh hanske mila aur kabhi mila bhi nahi,

kabhi jo karwi baat thi woh bhi khatm hui
kabhi gila tha hamein unse ab gila bhi nahi,

woh cheekh ubhri, badi der gunji, aur doob gayi
har ek sunta tha lekin koi hila bhi nahi.

Jab milne laga us ki mohabbat mein sukoon Phir yun hua woh mera sath chhor gaya

Jab milne laga us ki mohabbat mein sukoon
phir yun hua woh mera sath chhor gaya,

abhi bohat baki thi hasratein dil mein
magar woh shakhs adhuri mulaqaat chhor gaya,

fikr to yeh hai ke woh tha mera hamsafar kbhi
dukh yeh hai ke beech raah mein woh mera hath chhor gaya,

bin us ke rehna ab azaab sa lagta hai
na jaane zindagi mein woh kaise jazbaat chhor gaya,

woh shakhs to chala gaya meri zindagi se
magar aankhon mein meri aansuon ki barsat chhor gaya.

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close