Jab husn burke mein sadak par chala karta tha

Jab husn burke mein sadak par chala karta tha,
ek diwana peeche-2 chala karta tha,

socta tha ki kab hawa chale aur husn ka deedar ho.

ek din diwana chal basa. kuch din baad husn ko deewane ki yaad ayi.

jab woh kabar par ayi to andar se aawaz ayi..waah re khuda aaj mein hoon parde mein aur woh benakab ayi.

Jisne Loota Karwa Mera

Jisne loota karwa mera,
wahi toh tha meharba mera,

khwabon ki adla badli mein,
jal gaya th aashiyaa mera,

husn ka jalwa bina dekhe,
kho gaya tha dilruba mera,

koul se hatne ki saajis mein,
usne pakda girebaa mera,

kaliyan chahat ki masal dali,
fir bhi tha woh baghbaan mera…

Abhi Toh Door Tak Sath Sath Chalna Hai

Abhi toh door tak sath sath chalna hai,
vaise hain humsafar par chalti unki anban bhi,

sath hardam nahin rah sakte chahne wale,
ishq ke sath dard aur sihran bhi,

bhari barsat badlon ne de diya dokha,
sukhi nadiyo ke sath pyase ujde upvan bhi,

husn maasum hai aur surten bholi bhali,
toot jaate hain kabhi dil bhi aur darpan bhi…

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close