Hain Aur Bhi Tere Husn Ke Rehnuma Kayi

Hain aur bhi tere husn ke rehnuma kayi,
kyun fir tere sath guzra zamana yaad aata hai,
mere dil-e-dard ki wajah tumse hai lekin,
kyun khuda se pehle tera naam zuban pe aata hai,
yeh dil-e-naadan janta hai fir wo hoga na- ummed,
kyun ek aur naya zakhm khane tere paas chala aata hai...ii

Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga Be'Hisab Us Main Tera Qasoor Likhun Ga Tu ishk mein MaHir

Ghazal tere liye zarur likhun ga
be'hisab us main tera qasoor likhun ga

tu ishk mein mahir tu jalwo ka mahir
pr husn ko tere tera ghuroor likhun ga

toot gaye bachpan k tere sare khilony
ab dilon se khelna tera dastoor likhun ga

raha ishq ka da'awa tujhe tamam umer
wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhun ga

khud agr jo hai tera judai ka faisla
aise hr faisle ko na'manzoor likhun ga

humein kehne ki aadat nahi likhne ka shouq hai
jazbon ko apne qalam ki taseer likhun ga

tera wajood, mera wajood, mujhe ek sa lage
pr tujhe main khud se bahut door likhun ga...!!!

Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi

Gham-e-dil ko inn aakhon se chalak jana bhi
aata hai
tarapna bhi hamein aata hai tarpaana bhi aata
hai
kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari
hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni
sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko
aazmayein ge
dabe paaon hamein aa kar kisi ka gud-gudaa
dena
woh apna rooth jana aur woh unnka manaa
lena
woh manzar jhaankte hain aaj bhi yaadon ki
chilman se
bhula sakta hai kaise koi woh anzaad bachpan
ke
hamein aata nahi hai pyar mein be-aabru hona
sikhaya husn ko hum ne wafaa mein surkhuroo
hona
hum apne khoon-e-dil se zindagi ki maang bhar
dein ge
yeh dil kya cheez hai, hum jaan bhi qurbaan
kar dein ge

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close