Teri Sanson Mein Gulabon Ki Mehak Lagti Hai

Teri sanson mein gulabon ki mehak lagti
hai.. husn jis rang mein ho teri jhalak
lagti hai.. shaam hote hi nigahon
mein utar aate ho.. dil ki dhadkan
tere pairon ki dhamak lagti hai.. jaise
guzri ho abhi tu mere darwaze se.. ab
hawa bhi teri payal ki khanak lagti hai!

Zindagi husn hai

Zindagi husn hai, har husn ki tanveer alag zindagi jurm hai,
har jurm ki tazeer alag zindagi naghma hai,
har naghme ki taseer alag zindagi phool hai,
aur har phool ki taqdeer alag.

Qatil teri adaaon ne loota hain

Qatil teri adaaon ne loota hain,
mujhe teri jafaon ne loota hain,
shouk nhi tha mujhe mar mitne ka
saaki nashili nigahon ne loota hain,
bikhri hain khushbu teri sanson ki,
mujh ko to in hawaaon ne loota hai,
chain se bhala kaise so sakta hoon,
raaton ko tere khawabon ne luta hai.
bahut khoob hain tere husn ki adaa,
chandni ko tune chanda se loota hai.

Dasht-e-dariya ke ye us paar kahan tak jaati

Dasht-e-dariya ke ye us paar kahan tak jaati?
ghar ki deewar thi, deewar kahan tak jaati?

mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
hijr mein ye husrat-e-deedar kahan tak jaati?

thak gaye honth bhi tera naam lete lete,
ek hi lafz ki ye tukraar kahan tak jaati?

tu bohat door bohat door gaya tha mujhse,
meri aawaz mere yaar kahan tak jaati?

har taraf husn ke baazar lage the,
meri ye chashm-e-khareedar kahan tak jaati?

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close