hum to apne dil pe sare sanehe sah jaengeShayari By 10 May 2021 12:40:07 PMQitahum to apne dil pe sare sanehe sah jaenge han magar aansu gire to dastan kah jaenge wo chala jaega ek din mujh ko tanha chhod kar darmiyan mein furqaton ke fasle rah jaenge [...] Continue Reading... Share on:
nadi nale samundar aur dariya par karte hainShayari By 21 May 2021 01:50:42 PMQitanadi nale samundar aur dariya par karte hain agar sahra muqabil ho use gulzar karte hain 'ziya' suraj hatheli par saja lena to aasan hai zamane ka jo mustaqbil hai hum tayyar karte hain [...] Continue Reading... Share on:
main moallim hun ki tadris hai mera shewaShayari By 23 Apr 2021 04:53:56 PMQitamain moallim hun ki tadris hai mera shewa na-mohazzab ko main tahzib ki zau deta hun meri hasti hai 'ziya' khalq o murawwat ka charagh main zamane ko nae azm ki lau deta hun [...] Continue Reading... Share on:
ab kahan tak but-kade mein sarf-e-iman kijiyeShayari By 03 Feb 2021 12:26:33 PMQitaab kahan tak but-kade mein sarf-e-iman kijiye ta-kuja ishq-e-butan mein sust paiman kijiye hai yahi behtar aligarh ja ke sayyad se kahun mujh se chanda lijiye mujh ko musalman kijiye [...] Continue Reading... Share on:
haTa ke gard-e-zamana nikhaar de mujhkoShayari By 03 Feb 2021 11:03:36 AMQitahata ke gard-e-zamana nikhaar de mujh ko jahan sanwarne wale sanwar de mujh ko zaruraton ke bhanwar hain bada andhera hai zara si raushni de kar ubhaar de mujh ko [...] Continue Reading... Share on:
raat hum ek shaer-e-azam ke ghar milne gaeShayari By 30 Nov 2020 06:34:43 AMQitaraat hum ek shaer-e-azam ke ghar milne gae ba-dil-nakhwasta khana use chunna pada jo bhi dastar-khwan par tha kha ke farigh hum hue phir hamein diwan us ka subh tak sunna pada [...] Continue Reading... Share on: