huzur main is siyah chadar ka kya karungi ye aap kyun mujh ko bakhshte hain ba-sad inayat na sog mein hun ki us ko odhun gham-o-alam khalq ko dikhaun na rog hun main ki is ki tarikiyon mein khiffat se dub jaun na main gunahgar hun na mujrim ki is syahi ki mehr apni jabin pe har haal mein lagaun agar na gustakh mujh ko samjhen agar main jaan ki aman paun to dast-basta karun guzarish ki banda-parwar huzur ke hujra-e-mattar mein ek lasha pada hua hai na jaane kab ka gala sada hai ye aap se rahm chahta hai huzur itna karam to kije siyah chadar mujhe na dijiye siyah chadar se apne hujre ki be-kafan lash dhanp dijiye ki us se phuti hai jo ufunat wo kuche kuche mein hanpti hai wo sar patakti hai chaukhaton par barahnagi tan ki dhanpti hai sunen zara dil-kharash chikhen bana rahi hain ajab hayule jo chadaron mein bhi hain barahna ye kaun hain jaante to honge huzur pahchante to honge ye laundiyan hain ki yarghamali halal shab-bhar rahe hain dam-e-subh dar-ba-dar hain huzur ke nutfe ko mubarak ke nisf wirsa se be-mo'atabar hain ye bibayan hain ki zaujagi ka khiraj dene qatar-andar-qatar bari ki muntazir hain ye bachchiyan hain ki jin ke sar par phira jo hazrat ka dast-e-shafqat to kam-sini ke lahu se rish-e-saped rangin ho gai hai huzur ke hajla-e-moattar mein zindagi khun ro gai hai pada hua hai jahan ye lasha tawil sadiyon se qatl-e-insaniyat ka ye khun-chakan tamasha ab is tamasha ko khatm kije huzur ab is ko dhanp dijiye siyah chadar to ban chuki hai meri nahin aap ki zarurat ki is zamin par wajud mera nahin faqat ek nishan-e-shahwat hayat ki shah-rah par jagmaga rahi hai meri zehanat zamin ke rukh par jo hai pasina to jhilmilati hai meri mehnat ye chaar-diwariyan ye chadar gali sadi lash ko mubarak khuli fazaon mein baadban khol kar badhega mera safina main aadam-e-nau ki ham-safar hun ki jis ne jiti meri bharosa-bhari rifaqat