bahar ka dhan aata jata asal KHazana ghar mein hai

bahar ka dhan aata jata asal khazana ghar mein hai
har dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai
patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale
hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai
meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein
jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai
kya swang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno sham hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar mein hai
ek hijr-zada babul piyari tere jagte bachchon se haari
ai shaer kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai
duniya mein khapae sal kai aakhir mein khula ahwal yahi
wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya

aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
dil ki bigdi hui taswir pe rona aaya
ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye
mit gai aas to zanjir pe rona aaya
kya hasin khwab mohabbat ne dikhaya tha hamein
khul gai aankh to tabir pe rona aaya
pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya
phir teri surkhi-e-tahrir pe rona aaya
dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake
apni khoi hui taqdir pe rona aaya
kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil'
jab mile ranj to tasir pe rona aaya

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close