bahar ka dhan aata jata asal khazana ghar mein hai har dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai kya swang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye suno sham hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar mein hai ek hijr-zada babul piyari tere jagte bachchon se haari ai shaer kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai duniya mein khapae sal kai aakhir mein khula ahwal yahi wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai
Please share if you liked this!!!