usko juda hue bhi zamana bahut hua

us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-na-gahan tera aana bahut hua
hum khuld se nikal to gae hain par ai khuda
itne se waqiye ka fasana bahut hua
ab hum hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara sa rabt badhana bahut hua
ab kyun na zindagi pe mohabbat ko war den
is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua
ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka
mana ki us se milna milana bahut hua
kya kya na hum kharab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yar tera thikana bahut hua
kahta tha nasehon se mere munh na aaiyo
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr
ahmad-'faraaz' tujh se kaha na bahut hua

umr guzregi imtihan mein kya

umr guzregi imtihan mein kya
dagh hi denge mujh ko dan mein kya
meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mere bayan mein kya
mujh ko to koi tokta bhi nahin
yahi hota hai khandan mein kya
apni mahrumiyan chhupate hain
hum gharibon ki aan-ban mein kya
khud ko jaana juda zamane se
aa gaya tha mere guman mein kya
sham hi se dukan-e-did hai band
nahin nuqsan tak dukan mein kya
ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq
tu nahati hai ab bhi ban mein kya
bolte kyun nahin mere haq mein
aable pad gae zaban mein kya
khamushi kah rahi hai kan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya
dil ki aate hain jis ko dhyan bahut
khud bhi aata hai apne dhyan mein kya
wo mile to ye puchhna hai mujhe
ab bhi hun main teri aman mein kya
yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya
hai nasim-e-bahaar gard-alud
khak udti hai us makan mein kya
ye mujhe chain kyun nahin padta
ek hi shakhs tha jahan mein kya

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
even if you are annoyed come just to give me pain
come even if you have to then leave me yet again
kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
the notion of my love's self-pride please do pacify
you should surely come one day and try to mollify
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
even tho no longer close we are as used to be
come even if it's purely for sake of formality
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
the reason for our parting to whom should i relate
if cross with methen come and to the world narrate
ek umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa
a lifetime have i missed the joy of tearful ecstasy
life's comfort thus to make me cry, you should come to me
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain ummiden
ye aakhiri shamen bhi bujhane ke liye aa
my heart is optimistic yet, its hopes are still alive
come to snuff it out, let not this final flame survive

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae
koi khushbu main lagaun teri khushbu aae
waqt-e-rukhsat kahin tare kahin jugnu aae
haar pahnane mujhe phul se bazu aae
main ne din raat khuda se ye dua mangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aae
in dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
tir khaya hua jaise koi aahu aae
us ki baaten ki gul-o-lala pe shabnam barse
sab ko apnane ka us shokh ko jadu aae
us ne chhu kar mujhe patthar se phir insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansu aae

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
the news of our affinity has spread to every door
he welcomed me like fragrance which he did adore
kaise kah dun ki mujhe chhod diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
how can i say that i have been deserted by my beau
its true but this will cause me to be shamed for evermore
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aaya
bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki
each time he deserted me, came back to me once more
i like this very aspect of my faithless paramour
tera pahlu tere dil ki tarah aabaad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
just as your heart is full of love, be dear ones by your side
may pain of long and lonely nights be never in your store
us ne jalti hui peshani pe jab hath rakha
ruh tak aa gai tasir masihai ki
when he gently placed his hand upon my burning brow
it was as though the saviour's touch had infused my core
ab bhi barsat ki raaton mein badan tutta hai
jag uthti hain ajab khwahishen angdai ki
till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
the yen to stretch out languidly then comes to the fore

KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana

khafa hona zara si baat par talwar ho jaana
magar phir khud-ba-khud wo aap ka gulnar ho jaana
kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae
tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana
wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko
meri padhne ki koshish aap ka akhbar ho jaana
kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai
hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana
bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi
bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana
kahani ka ye hissa ab bhi koi khwab lagta hai
tera sar par bitha lena mera dastar ho jaana
mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi
baghawat par utarna aur khud-mukhtar ho jaana
nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere
zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close