dosti ka hath

tumhaara hath badha hai jo dosti ke liye
mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath
wo hath shakh-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai
mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath
khuda kare ki salamat rahen ye hath apne
ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye
zamin se naqsh mitane ko zulm o nafrat ka
falak se chand sitare utarne ke liye
zamin-e-pak hamare jigar ka tukda hai
hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah
tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai
tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah
karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain
unhen mitana hai aur khak mein milana hai
karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne
unhen sharafat o insaniyat sikhana hai
jien tamam hasinan-e-khaibar-o-lahore
jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir
ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani
kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir
tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar
himaliya ki hawaon ki tazgi le kar
phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai

ai sharif insano

khun apna ho ya paraya ho
nasl-e-adam ka khun hai aakhir
jang mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-alam ka khun hai aakhir
bam gharon par giren ki sarhad par
ruh ta-umr zakhm khati hai
khet apne jalen ki auron ke
zist faqon se tilmilati hai
tank aage badhen ki pichhe haten
kokh dharti ki banjh hoti hai
fath ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai
jang to khud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
aag aur khun aaj bakhshegi
bhuk aur ehtiyaj kal degi
is liye ai sharif insano
jang talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
shama jalti rahe to behtar hai
2
bartari ke subut ki khatir
khun bahana hi kya zaruri hai
ghar ki tarikiyan mitane ko
ghar jalana hi kya zaruri hai
jang ke aur bhi to maidan hain
sirf maidan-e-kisht-o-khun hi nahin
hasil-e-zindagi khirad bhi hai
hasil-e-zindagi junun hi nahin
aao is tira-bakht duniya mein
fikr ki raushni ko aam karen
amn ko jin se taqwiyat pahunche
aisi jangon ka ehtimam karen
jang wahshat se barbariyyat se
amn tahzib o irtiqa ke liye
jang marg-afrin siyasat se
amn insan ki baqa ke liye
jang iflas aur ghulami se
amn behtar nizam ki khatir
jang bhatki hui qayaadat se
amn be-bas awam ki khatir
jang sarmae ke tasallut se
amn jamhur ki khushi ke liye
jang jangon ke falsafe ke khilaf
amn pur-amn zindagi ke liye

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close